Thursday 22 October 2015

Message to Richa from her loving Brother Ashish


Dear Richa,

Just now about of 20th October, I took a look at the calendar with lot of courage, the month of November.  And was seeing when is 13th November, 14th November.  So to my utter surprise and in-fact shock is that, 13th November also this year coincides with Bhaiya dooj.  What kind of game are you playing or is God playing with us, especially between you and me, some equation is going on.  We have planned it all well, isn’t it?  let 13th November be a day, which I can never forget.  And let Bhaiya dooj also fall on the same day.  Because this is your expression of love.  Because your brother, who you want to finally awaken and tell him, Bhaiya “Get up, its high time, you do Bhaiya dooj for your sister properly”. 

Anyway, my darling sister I will abide by your play and God’s play. 



Ashish Bagrodia(your loving, but broken hearted.  Missing you always )

Friday 2 October 2015

2 october 2014 richa didi had dictated this for her mother shashi bagrodia


Mari maa humari guru

Log devi ki pooja karte hai aahvan karte hai staphna karte hai par humara sobhavya toh dekhiye ki humari maa ke roop mein saakashat devi ka hi aawahan hogaya. 66 yrs pehle devi ka sakshat rooop padhara. Jaise ki yeh humare liye hi aayi ho. Aur dekhiye iss baar kitna onvious sign hai ki navratri ka 9th day aur aapka janam ka shubh din ek hi din aaya hai.woh mata durga sarawasti aur laxmi ka hi toh swaroop hai. Mata durga ki shakti urja mata laxmi ki shree, komalta, saumyata aur maa saraswati ka gyan see sada hum sab ko poshit kiya hai. Maa aap ho toh hum sab poorna hai. Aapse hi janme hai aur aapse hi humara astitva hai. Aap se hi hum surakshit hai etc etc etc aap se hi humari hasti hai, aap se humara sukh hai, asp se humari shaanti hai, aapke hone se hum nishchint hai , aap se humara pragati ka maarg roshan hota hai, ek hridh ki hadi ki tarah hum sab ka sahara ho, bina kahe bina dekhe ek hridh ki hadi ki tarah hume she gives us endless support endless strength and the courage to walk straight in the right direction, unconditionally hi aapne hum sab ke baare mein soch kar diya hi diya hai. Sada apna kartavya nibhaya hai. Sach is kathan ka aaj hume poornata se aabhas hua hai ki bhagwan dharti  par swayam na ho aapke hi aashirwaad se hume mukti ki prapti hogi. - Richa



"Sach is kathan ka aaj hume poornata se aabhas hua hai ki bhagwan dharti  par swayam na ho aapke hi aashirwaad se hume mukti ki prapti hogi"

yeh aakhri line kitni sach ho gayee !
jab richa ki maa ne richa ko phone kiyea 13 november 2014 ki subah ko 
richa rone lagi 
uske baad richa ki physical condition aur bigad te gayee
saans lene mein takleef ho gayee 
aur bigadte bigadte richa mukt ho gayee
maa ka aashirwaad leke 
- Ashish